"Jis raaste par main chal raha hoon uska anjaam shayad bura bhi ho sakta hai ... lekin jis raaste pe tum chal rahe ho uska anjaam sirf bura hi hota hai bhai"
"Khwab zindagi se zyada khoobsurat hote hai"
"Yeh duniya ek third class ka dibba ban gayi hai.. jagah bahut kam hai, musafir zyada"
"Hawa badal gayi hai aaisi kuch zamaane ki ... duayen maangta hoon hosh mein aane ki"
"Yeh prem rog hai ... shuru mein dukh deta hai ... bad mein bahut dukh deta hai"
Hum gayab hone waalo mein se nahi hai ... jahan jahan se guzharte hai jalwe dikhate hai ... dost toh kya, dushman bhi yaad rakhte hai
Zulm aur paap ka khel toh hamesha zaalimo aur paapiyo ki zindagi ke saath hi khatam hota hai
Main zara romantic kisam ka aadmi hoon ... shaadi ke baad ishq karna toh chhod diya hai ... is liye biwi se romance karke kaam chala leta hoon
Yeh mat socho ke desh tumhe kya deta hai ... socho yeh ke tum desh ko kya de sakte ho
Libaas badal dene se aatma nahi badal jaati
Aaj sheeshay mein bar bar unhe dil ki moorat dikhai deti hai ... apni soorat nazar nahi aati, meri soorat dikhai deti hai